Monday, June 25, 2012

Woh haath aa rahey hain...



Main khud ko dhoondhta hoon, Wo haath aa rahe hain

Ab meri shaql se wo, jalwe dikha rahe hain



Main wo nahin hoon hargiz, wo main nahin hain lekin

Wo mujh ko munh kar ke, khud ko bataa rahey hain


Main unka aaina hoon, wo mera aaina hain

Main unhein dikhaa rahaa hoon, wo mujhe dikhaa rahey hain


Main, main nahin rahaa ab, ab wo hi main baney hain

Har aan ab wo mujh mein, main ban ke aa rahey hain


Aye waa-e-Hazrat-e-ishq achchhe hain ye karishmein

Arey jitna mujhe bigaada, utna banaa rahey hain


Mai mein kahaan thi masti, itni ke mujh ko khoti

In aakhon ke main sadqe, bekhud banaa rahey hain


Taalib se lan-taraani aakhir chali na unki

Kah kar wal-aakhir-unzur parde utha rahey hain



Main kya bataaun ‘Hazrat-e-ishq’ main kaisa mit gayaa hoon

Khud ko tatolta hoon, wo haath aa rahey hain