Mujhe bekhudi ye tune bhali chashni chakhayi
Kisi aarzoo ki dil mein nahi ab rahi samayi
Na hazar hain na khatar hain, na raja hain ne dua hai
Na khayaal-e-bandagi hani na tamana-e-khudai
Na muqqam e guftagu hain, na mahhall-e-justaju hain
Na wahan havaas pahunche na khirad ko hain rasai
Na makeen hain, na makan hain na zameen hain na zaman hain
Dil e be nava na mere jahan chhavni hain chayi
Na visaal hain, na hijraan na suroor hain na gham hain
Jise kahiye khwab-e-ghaflat so woh neend mujh ko aayi
Khabre tahhayyur-e-ishq sunn na junoon raha na pari rahi
Na toh tu raha na toh main raha jo rahi bekhabari rahi...