Aah-e-Tehkeek mein har gam pe uljhan dekhoon
Wohi haalat-o-khayalat mein an ban dekhoon
Ban ke reh jaata hoon tasweer pareshani ki
Ghaur se jab bhi kabhi duniya ka darpan dekhoon
Ek hi khaak pe fitrat ke tazaadat itnay
Kitnay hisson mein bata ek hi aangan dekhoon
Kahin zehmat ki sulagti hui patjhar ka samaan
Kahin rehmat ke baraste huay sawan dekhoon
Kahin phunkaarte darya, kahin khamosh pahaar
Kahin jangal, kahin sehra, kahin gulshan dekhoon
Khun rulata hai yeh takseem ka andaaz mujhe
Koi dhanwaan yehan par koi nirdhan dekhoon
Din ke haathon mein faqat ek sulagta sooraj
Raat ki maang sitaron se muzzayyan dekhoon
Kahin murjhaaye huay phool hain sacchai ke
Aur kahin jhoot ke kaanton pe bhi joban dekhoon
Shams ki kaal kahin khichti nazar aati hai
Kahin sarmad ki uttarti hui gardan dekhoon
Raat kya shai hai saweera kya hai
Yeh ujala yeh andhera kya hai
Mein bhi nayib hun tumhara akhir
Kyon yeh kehte ho ke tera kya hai